Wednesday 22 June 2011

Rona chahu



Rona bhi jo chahein to woh roney nahi deta
Woh shaks to palkein bhi bhigone nahi deta

Woh roz rulata hai hamein khwab mein aakar
Sona bhi jo chahein to sone nahi deta

Ye kis ke ishare pe umad aye hain baadal
Hai kaun jo barsaat bhi hone nahi deta

Aata hai khayalon mein mere kaun ye aksar
Jo mujhko kisi aur ka hone nahi deta

Ik shakhs hai aisa meri basti mein abhi tak
Jo bojh akele mujhe dhone nahi deta

Mein hoon ke bahaata hoon teri yaad mein aansoo
Tu hai ke ashkon ko pirone nahi deta

Woh chehra ajab hai jise paakar mein abhi tak
Khona bhi chahoon to khone nahi deta

Thame hue lahron ki husn-e-baag koi to
Sahil ko samandar mein doobone nahi deta

No comments:

Post a Comment